khamosh dil
Jo
nazre bol paati toh shayad,
Aaj
dil ka haal baayan ho jaata,
Jo
muskuraahat sab bol paati,
Toh
muskuraane ki vajh ka pata ho jata;
Aarmano
ka koi aalag aalm hota,
Agar
hawaie bol paati toh shayad,
Meri
deewangi ka tumhe pata ho jata,
Jo
nazre tumhari,
Yun
mera vajood na jhootlaati,
Toh
shayad iss kahani,
Ka
maza kuch aur hota…
Kash
meri kalm yun bezuban na hoti,
Toh
shayad mere dil ka haal,
Kuch
aur baya ho pata…
Aaj
tumhari na maujoodgi ka,
Mujhe
yun gum na hota,
Agar
tumhari aahato ki khamoshi yun,
Ansu
ban bahi na hoti;
Aaj
tumhari kami mujhe yun na,
Pareshaan
kar rai hoti,
Jo
muskurahat tumhari dikhi hoti…
Nazre
mila na pane ki tadap itni na hoti,
Jo
tumhe dekh pane ka koi bahana mil jata;
Agar
ek jhalak pane ka koi mauka mil jata;
Toh
yun hum kagaz ke badan pe alfaz na tarash rahe hote,
Aapni
bebasi pe yun na muskura rahe hote…
Kya khoob
phase hum iss
lok laaj me,
Ki
aapki ek
jalak ko tadap rae hai,
Aap
samne hai humaare aur hum,
Aur
Nazre milane ko taras rae hai…
Deewangi
kaa alam toh dekhiye aap,
Aapki
ek jhalak paake,
Dil
khushi se jhoom utha,
Muskurahat
aisi bikhri hoto pe ,
Ki
gum ka vajood hi mit gaya…
Khel
aapke masoom mann mera samjh nahi paata hai,
aapki nazro ke Isharo me doob sa jata hai,
Pehliyo
me ulajha hua,
Aapse
sirf ek darkhaast kar raha,
Yun
na jhootlayiye vajood ko mere,
Yun
na nakariye maujoodgi ko meri,
Aap
bus tadap badha rae hain nazro ke khel… khel ke,
Kahin
bol na pade bechainiya meri,
Par
aapki maujoodgi ka sukoon hi hume behla deta hai,
Darr
hai aapke iss khel me,
Kahin
roo na pade khamoshiya meri…
Jo
aahatien bol paati toh shayad,
Aapki
ki nazro se yeh na chupa hota,
ki
kaise yeh gustakh dil dhadak jata hai aapki ek jhalak se,
iss
dil ki majboori samjhe na tu ya koi
shajish hai yeh teri,
berukhi
teri aaj saare paimaano ko par kar gayi,
aaj
aapko dekh ke aisa laga,
jaise
aap mere vajood se bekhabar hai,
ya
aapko meri maujoodgi ki khabar hi nai,
masoom dil jhulas sa gaya,
aapki
berukhi se toot kar bikhar gaya
ansu
me doob, wajah talshne laga,
akhir
khata usse hui kaha?
Kahani
shuru hone se pehle khatam ho gayi,
Masoom
dil ko maine samjhaya,
Raasta
yeh nahi tha mera,
Yeh
maine usse bataya…
Masoomiyat
dekh mere bebas dil ki,
Ankhe
meri bhar aayi,
jo
dil ne mere aap ka shukriya ada karna zaroori samjha,
ashko
ke beech se muskura kar usne aapko shukriya bola,
jo
aapne bin bole usse bata diya,
ki
aap manzil nahi meri,
palat
kar dil ne mujhe bhi samjhaya,
muskura
kar mujhe bataya,
uss
ghalib ko kyu kose aae gustakh tu,
woh
toh tere haal-e-dil se anjaan hai,
uss
ghalib ko kya pata,
ki
koi dil uske liye bhi dhadak raha,
kisi
masoom dil ki dhadkano me uska bhi naam hai…
muskura
uthe mayus lab mere,
dil
beshakh ghayal aabhi bhi tha,
zakham
pe marhum lagaya,
aur
dil ne apne hi ansuo se teri yaado ko dhul dala…
3/09/2012
Tere hisse k aansu bhi mai baha dunga ae saaki
ReplyDeleteBus dua ye karna k aakhen band na ho jaaye aansuo se pehle
wow.....
ReplyDelete:)
Delete