Aae Ghalib aisa bhi kya hai teri nazro me...
Yeh kiya kaisa jadoo tune ,
Ki mai kavita bhi likh nai pa rahi;
Aae Ghalib aisa kya hai teri nazro me,
Ki mai sab kuch bhul gai…
Jo titli kabhi kisi phool pe ruki nai,
Aaj ek phool ke paas jaake, jaise udna hi bhul gayi,
Aae Ghalib aisa bhi kya hai teri nazro me,
Ki mai sab kuch bhul gayi…

Tan se juda na hone diya,
Aaj meri odhni kab sir se sarkke,
Mere kandho par simit gayi,
Mujhe pata bhi na chala,
Aae Ghalib aisa bhi kya hai teri nazro me,
Ki tune mujhe sab kuch bhula diya….
Jo dil kabhi dhadka nai,
Tune use… jaan phunk, dhadka diya,
Jo dhedth nazre kabhi ek jagah ruki nai,
Tune unhe apne aagosh me le liya,
Jo mann kabhi kisi ke aage jhuka nai,
Tune uss mann ko apna shagird bana liya,
Aisa kiya jaado ki,
Aalhad hawa ko tune apni mutthi me thaam liya;
Aae Ghalib aisa bhi kya hai teri nazro me,
Ki tune mujhe sab kuch bhula diya….
Yeh sab zulam karke, tu kaha chal diya?
Jawab toh deta ja mere sawalo ke,
Jo kuch pal ko sukoon aa jae mujhe,
Bata toh ja aae Ghalib tu,
Ki aisa bhi kya nasha teri nazro me,
ki mujhe tune shrabi bana diya…
yeh kisa kiya jadoo tune,
ki mujhe sab kuch bhula diya….
Kamaal kar diya ghalib ne aaj, probably ur life is going to be changed...
ReplyDeletebahut titliya ud rahi hai... :P
thank you Abhishek... sach me bahut titliya udd rai thi socha kuch toh likha jae, kudrat iss naayab jeev pe :) :) ;) ;)
ReplyDeleteYcrimapcusa_1993 Jamie Jackson https://marketplace.visualstudio.com/items?itemName=9contdeptao.The-Directed-gratuita-2022
ReplyDeletegiftfittiti
AsuppboOfrigyo Diana Brown Software
ReplyDeleteClick here
cobbblacdanre