aadhuri baat sun kar mat karo faisla




Samajh nai aata mujhe ki aadhuri baatien sun kar,
log kyun apne aap hi kahani puri kar lete hain,
bante bante b kyun… rishte bikhar jaate hain,
kash sach kehne aur sunne ki himmat sabme hoti,
toh yun galat famiyo ke toofan me,
pyar ke gharaunde na toote hote.



Kabhi kabhi ankho dekha bhi sach nai hota,
toh kaano se sunni baat galat bhi hoti hai,
kash himmat hoti humme puch paane ki,
ki sachai kya thi toh shayad,
kuch aadhure rishto ko jodne ki nayi wajah mil jaati…

aage badhe do kadam kuch kahe bina kyun wapis ho jaate hain,
kyun nai ruk ke puchte woh ki sachai kya hai,
do pal theher ke sunna toh hota puri kahani kya thi;
who galt hain, ya koi aur,
yeh faisla puri baat sun ke kiya hota toh,
aaj ek aur rishte ki naayi shuruwat hoti;
kash sach sunne aur bolne ki himmat sab me aa jaati,
toh kitne logo ki zindagi kisi aur raah pe hoti…
phir rishto ki dor kuch jada hi mazboot hoti…
shayad rishto me kuch khas mithas hoti…

Kash dil pe unhone thoda aitbaar kiya hota,
apni mohhabat pe thoda vishwas kiya hota,
toh kahani shayad kuch aur hoti,
ek aur prem kahani galat famiyo ki shikar nai hui hoti ,
do dil ki tadap kuch kam hui hoti,
agar ek ne dusre ki baat puri suni hoti…

chalo maan liya haalat nai theek the,
maan liya mauke ki nazagat hi kuch aur thi;
par jab mohabbat ko samajhne me itna waqt laga diya,
toh kuch waqt toh dete apne pyar ko…
sun toh lete uski puri baat ko,
aapne toh ek hi pal me unhe doshi karar kar diya…
maana insaano ki fitrat pe apko bharosa nahi,
pyar pe toh aitbaar karna chahiye tha,
jise chuna apke dil ne,
uspe thoda vishwas karna toh banta tha;
mukadma aap ki adalat me aaya tha,
bina peravi ke saza suna di?
aab galt famiyo ki aag me dono dil jhulsenge…
ansun bhi angare honge...
kyunki dil toh mohabbat karta rehega, 
par mann uss hi se nafrat karega…
iss kashmakash me woh,
khud ko hi saza denge,
kyunki na kahenge kya hua?
kyun aise khafa kue hai woh unse ,
na unke puchne pe jawab denge…
bas jalte rahenge apne hi krodh ki aagni me;
khud ko toh saza denge hi,
dusre ko bhi gum ke sehlab me doobne ko chod denge…
kash…kash puch liya hota ussi waqt hi,
kya baat thi toh aaj itne sitam mohabbat pe na ho rae hote.

Rishte baade naazuk hote hain…
ek baar jarur ruk ke pucho, baat thi kya puri…
dekh ke bhi ek baar undekha karo,
sun ke unsuna kardo,
unbaato ko jo rishto ki dor ko jhulsa sakti hai,
ek baar sun zaroor lo baat samne wale ki
phir ankh band kar dil se pucho,
sach hai ya, galat hai baat saari,
ya puri kahani hi chalawa hai,
jab mohabbat pe aitbaar kiya toh,
jisse mohabbat ki usspe bhi aitbaar kar ke dekho…
aaj kisi aapne ke jhoot ke liye,
mohabbat ki sachai ko raund ke mat jao;
kisi ek rishte ke liye,
kisi naye rishte ko mat jhatak ke jao…
ruk jao puch toh lo baat kya thi puri,
bata toh do akhir khata unse kaha hui...
aadhuri baat sun kar faisla toh mat karo…   
aadhuri baat sun kar faisla toh mat karo…

Comments

  1. Haar sa gaya hun takallus me tabdeeliyan kar kar k mukasir




    Magar ye to bata apni izhaar ae mohabbat ki vazaa kaise badlu

    ReplyDelete
    Replies
    1. jo izhaar ae mohabbat ki vazaa tu badal dega ae ghalib,
      teri mohabbat ka noor hi dhal jaega,
      tere mehboob ko teri vazaa se jitna lagav hai,
      utni mohabbat badli vaza me woh kaha talashega,
      do pal ki khushi me kuch purana ehsaas kho sa jaega,
      shayad bhool gaya aae ghalib tu,
      aalhad hawao ke shaukheeno ko,
      sirf toofano me maza aata hai...

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

F.R.I.E.N.D.S... my Compeers from H.E.L.L :P :P 3:)

What does one want?

GUESS... WHOz BACK? :D 3:)