aadhuri baat sun kar mat karo faisla

Samajh nai aata mujhe ki aadhuri baatien sun kar, log kyun apne aap hi kahani puri kar lete hain, bante bante b kyun… rishte bikhar jaate hain, kash sach kehne aur sunne ki himmat sabme hoti, toh yun galat famiyo ke toofan me, pyar ke gharaunde na toote hote. Kabhi kabhi ankho dekha bhi sach nai hota, toh kaano se sunni baat galat bhi hoti hai, kash himmat hoti humme puch paane ki, ki sachai kya thi toh shayad, kuch aadhure rishto ko jodne ki nayi wajah mil jaati… aage badhe do kadam kuch kahe bina kyun wapis ho jaate hain, kyun nai ruk ke puchte woh ki sachai kya hai, do pal theher ke sunna toh hota puri kahani kya thi; who galt hain, ya koi aur, yeh faisla puri baat sun ke kiya hota toh, aaj ek aur rishte ki naayi shuruwat hoti; kash sach sunne aur bolne ki himmat sab me aa jaati, toh kitne logo ki zindagi kisi aur raah pe hoti… phir rishto ki dor kuch jada hi mazboot hoti… shayad rishto me kuch khas mithas hoti… Kash dil pe u...